ek shaswat katha
jisse sahas kahe ya vyatha.....
ek talab kinare ki emarat mein lagi aag..
mach gayi afra-tafri aur bhagam-bhaag..
kuch logon ni aag par paani dala ...
kuch logon ne aag mein ghire logon ko bahar nikala.
sabne woh kiya jo tha jiski pahunch mein.
ek chidiya bhi daal rahi thi paani ....
bhar-bhar kar apni choonch mein.
ussi ped par rahne wala kauwa bola-
"behen tu sui ki nook se samasya ka talakhol rahi hain ,
aur pattoon ke baan se pahar tod rahi hain ....
teri choonch mein jitna paani aayega uss se ek shola bhi na bujh payega."
tab chidiya ne diya jawab , ek dum lajawab,
kaha " mere bhai main manti hoon
choonch mein bhare paani ki shamta pehchanti hoon
aur kewal itna janti hoon,
ki jis din is ghatna ka itihaas likha jayega
mera naam aag lagane walon mein nahi
aag bujhane walon mein likha jayega."